.

n  e  t  p  a  k  i  s  t  a   n    .    c  o  m.

.
Logo

Pakistan

.

.

g h a z a l s

.

line.jpg (715 bytes)

...
Sher-O-Shaiyrae (Poetry)

By Well known Urdu Poets

..
 

Ada Badayuni

Honton pay kabhee un kay mera naam bhee Aa'ay
Aa'ay toe sahee, barsar-e-ilzaam he Aa'ay
......
Heraaon hain lab basta hain, dilgeer hain ghunchay
Khushboo key zubani tera pegham hee Aa'ay
......
Lumhaat-e-mussarrat hain tasawwur say guraizan
Yaad Aa'ay hain jub bhee ghum-o-alaam hee Aa'ay
......
Taaron say sajaa lain gay rah-e-shehar-e-tamanna
Maqdoor nahin subh chalo shaam hee Aa'ay
......
Kya rah badal nay ka gila hum safaron say
Jis rah say chaltay tere dar-o-baam hee Aa'ay
......
Thak haar kay baithay hain sae-e-ko'oe tamanna
Kaam aa'ay toe phir jazba-e-nakaam hee Aa'ay
......
Baaqi na rahay saakh ada dasht-e-janoon key
Kil main agar undesha-e-unjaam hee Aa'ay
Ubaid Ullah Aleem

Chand Chehra Sitara Ankhain

Meray Khudaya! main zindagi kay azaab likhoon ke

khawab likhoon

Ye mera chehra, ye meree ankain
Bujhee hu-ay say charagh jaysay
Jo pher say jalnay kay muntazir haun
......
Vo Chand chehra, Sitara ankhain
Vo meharbaan sayadaar zulfain
Jinhoun nay payman key-ye thay mujh say
rafaqaton kay, mohabaton kay
Kaha tha mujh say ke ay musafir rahe vafaa kay
Jahan bhee ja'ay ga hum bhee aian gay saath tere
Banain gay raaton main chandni hum toe din main

saa'ye bakhair dain ge

......
Vo chand chehra, sitara ankhain
Vo meharbaan sayadar zulfain
......
Vo apnay payman rafaqaton kay mohabaton kay

Shikast kar kay

Na jaanay ab kiss key rehguzar ka minara roshni hu'ay hain
Magar musafir koe kya khabar hay
Vo chand chehra toe bujh gaya hay
Sitara ankhain toe so ga'eey hain
Vo zulfain bay sayaah ho ga'eey hain
Vo roshni or voh saa'ye meree ata thay
So mere raahon main aaj bhee hain
ke main musafir ra-hey vafaa ka
......
Vo chand chehra, sitara ankhain
Vo meharbaan sayadaar zulfain
......
Hazaaron chehron hazaaron ankhain
Hazaaron zulfon ka aik selaab-e-tund lay kar
mere ta'aqub main Aa-ra-hey hain
Her aik chehra hay chand chehra
Hain saary ankhain sitara ankhain
Tamaam hain
Meharbaan saayah daar zulfain
Main kiss ko chahoon, main kiss ko choomon
Main kiss kay saa'ye main bait jaaon
bachoon ke toofan main doob jaaon
Ke mera chehra, na mere ankhain
Mera Khudaya! main zindagi kay azaab likhoon ke

khawab likhoon

Faiz Ahmad Faiz

Tanhayee

Phir koee aya dil zaar, nahin koyee nahin
Rah-raw hoga, kahin aur chala jaa-ae ga
Dhal chukee raat, bikhar-nay laga taron ka ghobaar
Larkharanay lagay aivanon main khabeeda charaagh
Soga-ye raata tak tak kay her aik rah-guzar
Ajnabee khaak nain dhundlad-ye qadmon kay suragh
Gull karo shamain, barhaadoe main o meena o ayagh
Apnay bay-khawab kivaron ko muqaffal kar lo
Ab yahan koyee nahin, koyee nahin aay ga!

Ahmad Faraz

Ab kay hum bichrain toe sha-yad kabhee khawabon main milian
Jis tarha sookhay huay phool, kitabon main milain
......
Dhoond ujray huay logon main vafa kay moti
Ye khazanain tujhay mumkin hain kharabon main milain
......
Ghum-e-dunya bhee ghum-e-yar main shamil kar loe
Nasha barta hay sharabain joe sharabon main milain
......
Too khuda hay, na mera ishq farishton jaisa
Donon insaan hain to kyun itnay hijabon main milain
......
Aaj hum dar ye khainchay ga'ay jin baton par
Kya ajab kal voh zamanain ko nisaabon main milain
......
Ab na voh hain, na voh too hay, na voh mazee hay Faraz
Jaisay doe shakhas tamnna kay sarabon main milain

Asad Ullah Khan Ghalib

Ye na thee hamaree qismat ke visaal-e-yaar hota
Agar aur jeetay rehtay, yehee intezaar hota
......
Tere waaday par jeyay toe ye jaan jhoot jana
Ke khoshee say mar na jaatay agar aitebar hota
......
Rug-e-sung say tapakta woe lahoo ke pher na thumta
Jesay ghum samajh rahay ho, ye agar sharaar hota
......
Kahoon kiss say main ke kya hay shub-e-ghum buree bala hay
Mujhay kya bura tha marna, agar aik bar hota
......
Huyay mar ke hum joe rusva, huyuy kyun na gharq-e-darya
Na kaheen janaza uthta, na kaheen mazaar hota
......
Ye masaal-e-tasavuf, ye tera byaan-e-ghalib
Tuj-hay hum valee samajh-tay, joe na baada khawar hota
Provided By, Farhan Hameed
Back
<<< Back
 

Akbar Allahabadi

Ghamzah nahin hota ke ishara nahin hota
Ankh un say joe milte hay toe kya kya nahin hota
.....
Jalvah na hoe ma'ani ka toe surat ka asar kya
Bulbul gul-e-tasveer ka shaeda nahin hota
......
Allah bacha'ay marz-e-ishq say dil koe!
Suntay hain ke ye aarzah acha nahin hota
......
Tashbeeh terey chehray koe kya daur gul-e-tar say
Hota hay shagufta, magar itna nahin hota
......
Hum aah bhee kartay hain toe hoe jaatay hain badnaam
Voh qatal bhee kartay hain to charcha nahin hota

Akbar Allahabadi

Hangama hay kyun barpa thoree see joe pee lee hay
Daaka toe nahin maara choree toe nahin kee hay
......
Na tajurba-kari say va'az kee ye batain hain
Oos rung koe kya jaanay, pucho toe kabhee pee hay?
......
Oos ma'ay say nahin matlab dil jis say hay baygaana
Maqsood hay Oos ma'ay say dil hee main joe khenchte hay
......
Har zarra chamakta hay Anwar-e-Ilahee say
Har saanse ye kehtee hay hum hain toe khuda bhee hay
......
Sooraj main lagay dhabba fitrat kay karishmay hain
Buth hum koe kahain kaafir Allah kee marzee hay

Khawaja Haider Ali Atish

Ye Arzoo thee, tujhe gul kay roobaroo kartay
Hum or bulbul baytaab-e-guftagoo kartay
............
Pyam bar na mo'yasir hua, toe khoob hua
Zuban-e-ghair say kya sharh-e-aarzoo kartay
............
Mere tarah say mah-o-mahar bhee hain aawara
Kisee jaib key ye bhee hain justajoo kartay
............
Joe dekhtay teree zunjeer-e-zulf ka Aalim
Aseer honay key azad aarzoo kartay
............
Na pooch aalim-e-bargashta ta'aley Atish
Barasti joe Aag-e-baran key Aarzoo kartay

Khawaja Mir Dard

Tehmat chund apnay zimmay dhar chalay
Jiss lee-ye Aa'ay they, so hum kar chalay
......
Zindagi hay ya ko'ee toofaan hay
Hum to iss jeenay kay haaton mur chalay
......
Hum jahan main aay thay tanha, valay
Saath apnay ab usay lay kar chalay
......
Saaqya, yan lug  rahaa hay chal chalow
Jub talak bus chal sakay, saghar chalay
......
Dard kuch ma'aloom hay, ye loog sub
kiss taraf say aay thay, kidher chalay

Faiz Ahmad Faiz

Raat dil main tere kh-oee hu-ee yaad ayee
Jesay weeranain main chupkay say bahar ajay
Jesay seharaaon main chalay holay say baad-e-naseem
Jesay beemaar koe bewajah qarar ajay

Faiz Ahmad Faiz

Dasht-e-Tanhai

Dasht-e-tanhai may aiy jaan-e-jahaan
larzaan hain
teyree waaz kay saa'ay
terey honton kay saraab
dasht-etanhai may
doori kay khas-o-khaaq talay
khil rahay hain
terey pehloon kay samand aur gulaab
utth rahi hai kaheen qurbat say
teyree saans ki aanch
apni khushboo may sulagtee hoo'i
madham madham
door ufaq par chamaktee hoo'i
qatra qatra gir rahee hae
teyree dildaar nazar ki shabnam
iss qadar pi'yar say aiy jaan-e-jahan
rakha hae
dil kay rukhsaar pay iss waqt
teyree yaad nay haath
yun gumaa hotaa hai
garchai hai abhi subh-e-firaat
dhal ga'ya hijr ka din
aa bhi ga'yi wasl ki raat

Mir Taqi Mir

Ulti hoe gaeen sub tadbeerain, kuch na dava nain kaam kya
Dekha, oos beimary-e-dil nain akhir kaam tamaam kya
......
Ahad-e-javani row row kaata, peery main leen ankain mond
Yani raat bohat thay jaagay, subh hooye araam kya
......
Naahuq, hum majbrooron per ye teh-mat hay mukhtari key
Chaahtay hain so aap karay hain hum koe ebs badnam kya
......
Yaan kay sabaid-o-syah main hum koe dakhl due hay soe itna hay
Raat koe row row subh kya, ya din doe joon toon shaam kya
......
Mir kay deen-o-mazhab koe ub poochtay kya hoe, in nain toe
Qashqa khainncha, deer main bet-ha, kub ka tarq islam kya

Bahadur Shah Zafar

Na kisee key ankh ka noor houn na kisee kay dil ka qaraar houn
Joe kisee kay kaam na aa sakay main vo aik musht-e-ghubar houn
......
Mera rung roop bigar gaya, mera yaar mujh say bichar gaya

Joe chaman khazan say ujar gaya, main usee key fasal-e-bahaar

houn

......
Pa'ay fateha, ko'ey a'ay kyun, ko'ey chaar phool charha'ay ky'oun
Ko'ey Aa kay shama jala'ay, main vo bay kaseey ka mazaar houn
......

Main nahin houn naghma janfaza, mujhe soon kay ko'ey karay ga

kya

Main baray boroug key houn sadaa', main baray dukhee key

pukaar houn

.

[-Arts & Entertainment-]

[-News & Media-]

[-Pakistan Information-]

[-Society & Culture-]

[-Education-]................

. ............................................ .................................... ........................................... ........................................... ....................................
.

[-Web Designing-]

[-Web Hosting-]

[-Advertise Here-]

.

line

.

.

.

.

.
Logo Also, send your Comments or Suggestions To Netpakistan@mail.com
Copyright ©1997-99, NetPakistan. All Rights Reserved.
Any material obtained from this website is copyrighted by NetPakistan ,& may not be reproduced or reused in any form. Unauthorized reproduction is prohibited by federal law and subject to criminal prosecution.
Pakistan
.

.

.